intezar ki ye gahdiayn na hotee,
to fir tanhayiyon ki kimat hi kya hotee?
yaden bhi dimag me na hotee taro taza,
to dil me aapki tasveer kaise hotee?
magroob ho gaya hota main bhi jamane ki tarah,
to aapki takdeer me , mehboob ki rusvaiyan hi hotee.
jinda hai vo mohabbat aaj bhi,
varna chandni rat me chatak pyasi na hotee.
ho gaya hota rab ham se door
to aap hamari takdeer hi na hotee
prem varsha se nachta na hota man mayur
to aaj ki sham itnee haseen na hotee
hai yadi faisla manzil pane ka,
to mukaddar bhi tumhare hath me hogee.
na zuko tum, na moodo tum, na ruko tum,
khuda ke ghar der hai andher nahi hotee.
sirf kalam hi nahi kafan fi sath me rakha hai maine,
isliye maut ki bhi parva nahee hotee.
sach ki rah pe chalne vale hote hai mot se be-parvah,
kyonki maut bhi rooh ki aakhree manzil nahi hotee.
rooh to aapki bhi jeenda hai ye yakeen hai hamen,
varna aapki palko ki talen askon ki ye mala na hotee!
Monday, February 8, 2010
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment